Thursday, September 06, 2007

Some more... Fresh!!

It's 12.30 in the morning, the cab is running through a particularly bad patch of road somewhere in between Bhadravati and Bangalore. I pull out my mobile phone and record a thought that just flashed. Hmm.. Interesting.. Let's see what they think of it... I pass it back... They say it's good.. I move it to the drafts folder.. And this goes on... Two nights in the cab =A loadful of drivel (umm I mean random thoughts....) Enjoy your torture!! :p

Aaina

Yun apni hi parchayiyon se kyun dar gaye ho?
Apni hi aks dekh ke kyun ghabra gaye ho?
Kya apni hi nazar me gir gaye ho..
Ke aaj aine ke saamne sar jhukaye khade ho?



Roshni

Woh jo aye mehfil me aisa laga
Ke raat ke andhere pighal gaye
Woh gaye to gayi yun roshni
Ke jugnu bhi unke saath nikal gaye



Madhoshi

Humne chum liya tere badan ko madhoshi me
Tere badan ki khushbu ne humko behka diya tha
Magar kya izhaar chupa tha teri khamoshi me
Is khayal ne dil ke chaman ko mehka diya tha



Housla


Masal to diya gul-e-dil ko aapne
Mohabbat ki khushbu ko rok paoge kaise?
Banaya hoga apne housle ko buland aapne
Takdeer ke badthe kadmon ko rok paoge kaise?



Be-abroo


Phir beabroo hogayi mohabbat
Phir tanha ho gaye hain hum
Phir samjhe nahi woh dil ki fitrat
Phir ubhar aye hain gham



Shayari

Jo cheekh tha dil ke dard ka
Aapne to usko mushayira bana diya
Hum to baant rahe the gham ghataneko
Aap ne padhkar use shayari banadiya



Ishq


Aaj mere ishq ka inteqaal hogaya
Aaj khatam tere aaneka intezar hogaya
Aaj dil tere gham ki kabr me dafan hogaya
Aaj tere aanchal mere dil ka kafan hogaya




Zanjeer


Woh aake phir usi mod par sar jhuka ke khade hain
Yun lag raha hai ke mere aansuon ka hisaab chuka ke khade hain
Woh pahuncha ke awaz hum tak intezaar me khade hain
Koi to unko bata de hum haalat ke zanjeer se bandhe khade hain



Adhure lamhe


Adhuri zindagi ke adhure lamhe hain saath mere
Bas adhuri si khushiyan ayi hain haath mere
Kehne ko to bahut milte the woh par adhure se the mulaquaat mere
Woh aye to koi kehdena unse ke bahut hain adhure baat mere



Sharaabi


Dil ke maikade se chalka den jaam-e-wafa yeh lagta hai
Saqi sharaab la ke phir wohi hoga anjaam-e-wafa yeh lagta hai
Woh jo aye yaad to kadam dagmaga gaye yeh lagta hai
Saari duniyane kehdiya sharaabi hume duniya khud hai nashe me yeh lagta hai

Jaam saqi ne aaj is ada se pila diya
Pyaas bhi bujha diya aur aag bhi lagadiya
Us aag ne dil ko kuch is tarha se jaladiya
Yaad agayi usiki jisne humko thukrake bhuladiya

Na raat ke aasuon me na din ke andhere me
Ab to guzar gayi zindagi maikade me
Woh thukra de hume yeh baat na thi unke fitrat me
Yaad ajate hum unko agar woh likhe the hamari kismat me



Manzil


Woh makaam jo abhi nikal gaya
Koi batade unko ke woh manzil hi tha
Woh baat jispe dil machalgaya
Woh samjhe nahi par wafa hi tha



Khumar


Khade hain aaj wahi par tera intezaar nahi
Wafa to hai aaj bhi par dil ka aitbaar nahi
Aap ajaye meri zindagi me phirse humko aitraaz nahi
Par aaj hamari aankhon me mohabbat ka khumar nahi



Wafa


Woh jise samjhe the wafa woh wafa na tha
Aur jo wafa tha use hi samjha nahi
Jo wafa na tha woh dil pe andhere ka teer chala gaya
Aur jo tha wafa usne dil me unke naam ka chiraag jala gaya



Shayar

Do lafz jo likh diya to shayar bana diya
Do aansun jo chalkadiya to ghamzada bana diya
Do baar bin waja ke has diya to deewana bana diya
Aapne kyun har cheese par galat mohar laga diya?

Bin mausam ke baadalon ko barsaat bana diya
Kun aapne akele ko kafila bana diya
Mazjid me na gaye to kafir bana diya
Mazjid bana liya tha dil me khuda ka, kyun apne hume khuda bana diya?

Labels: ,

Friday, August 31, 2007

Some more of my work....

Rithish... I hope you are reading ;)

The rest of you muahhhahha!! Suffer in silence :P

Haal-e-dil

Hum apni marzi se khud kitne dur chale jate hain
Zindagi ke zanjeer khiche jitni dur chale aate hain

Is din ke andhere mein bhatakte chale jaate hain
Ab to tere dard ke peeche khiche chale aate hain

Haal-e-dil karneko bayaan unke kooche pe chale jaate hain
Thukraana de woh yeh sooch ke unke dariche se chale aate hain

Kaafir

Dil ki dhadkane bhi sunlete tumhari
Kabhi seene se lagakar to dekh lete

Hum bhi marne ko tayyar the teri wafa ke khatir
Hamari ehd-e-wafa bhi aazma ke to dekh lete

Hum bhi mit ke bikhar sakte the tere gham me
Kabhi hamare dil ko bhi thukrake to dekh lete

Kaafir ho jate tere mohabbat ko hi maanlete khuda
Khuda hota hai kya mohabbat ke kaafir to dekh lete

Dil ke tukde

Thukra diya unhone hame kuch is adaa se
Ke hum haste haste dil ke tukde samet-te chale gaye

Woh gaye dur is qadar hamse
Ke unki yaadein bhi humse ruth kar chale gaye

Chand paison ke liye

Dekho is pari ko yeh raate rangeen karti hai do waqt ki roti ke liye
Uske abroo ka sauda kardiya kisi ne chand paison ke liye

Tere hawas ko mitake woh khud jalti hai sachhe pyaar ke liye
Zaleel hoke tere kamre se nikalti hai chand paison ke liye

Yeh aurat hai khilona nahi tere khelke todne ke liye
Majbooriyon se samjhauta karliya hai isne chand paison ke liye

Kabhi jo dekhen isko raah me to majboor hain hum sochne ke liye
Ke woh kaisa beta hoga jo bech dale apni maa ko chand paison ke liye

Kaafiron ko sunate phirte hain woh khuda ko dhundne ke liye
Yeh kaise bande hain ke khuda ko bechdala chand paison ke liye

Labels: ,

Thursday, August 30, 2007

One last effort!

If you don't like it I'll stop! Promise!!

Deewane

Deewanon ki na suniye koi baat
Deewane to yunhi kehte rehte hain
Dard ko hansi se chupake rote hain
Aur maut ko gale se lagaake jeete hain

Bahut zyaada bolte hain kabhi
Kabhi chuppi se baat karte hain
Deewane to deewane hain
Khamoshi ko bhi sunana jante hain

Baaton me unke na aana kabhi doston
Baat se woh sabko gumraah karte hain
Jhaankh ke dekho un aankhon me kabhi
Deewane to gham ko nazron se bayaan karte hain

Suroor ho mohobbat ka ya ho khumar bewafai ka
Deewanon se na pucho woh kis wajah se deewane hain
Dil me woh kiske naam ka chirag jalate hain
Chirag bujhte hain to unke dil jalte hain

Zamana chahe sang baar kare unpe
Sitam hazar zamane ke seh lete hain
Woh maar khake bhi hanste rehte hain
Aur har pal mohabbat ke naam pe mit-te rehte hain

Main jaanta hun ke zamane ki nazar me
Kuch kaam ke nahi deewane hain
Par deewanon ki nazar se to dekho
Zamane bhar me deewane hi deewane hain

Na hasna meri baaton pe mere quatil
Hum to teri dar pe kismat aazmane aayen hain
Teri mohabbat me hum khud ko aazmane aayen hain
Ab kaise kahen tumse ke hum bhi tere naam ke deewane hain

Labels: ,